Friday, November 14, 2014

Saanwara re mhari preet nibhajo










Meera bai was one of the saints at the time of Akbar . She belonged to a rajpoot family of Rajsthan but she was a Krishna lover since childhood so never followed the rituals to live a life of queen . She had been always discarded by the society just because of her neutral behaviour towards all individuals in the society .But finally people realized that she has reached upto such a position that is beyond the reach of these physical eyes .

One of the most famous story that I have heard about her is something like this :
Once she went to the saint Raidas to make him her Teacher . When Raidas met her he said "Meera , you are a queen and you can not stay here because it is not according to our customs .Women should not stay in a " Gurukul " because it is only a place for the men ". She asked who is the man here ? Everyone was surprized to hear this .Then Raidas asked her so what these people around you are ..? she innocently said that they are all like me . They all have lord sitting inside them as I do .Then what is differecne between me and all .The only man I know in this universe is my Lord . At this Raidas was surprized to see her pure soul and said that I accept you as my deciple . You are free to come here whenever you want .

How this lady saint felt and produced by the feelings of her heart for her Lord "whom she supposed to be her's only husband since childhood " we can see in her creations .... those precious songs that she used to play on ektara wandering here and there .

Here are some of her nice creations that I am going to add with lyrics so that people may easily understand the exact sense and meaning of the bhajan .

Hare Krishna Hare Krishna , Krishna Krishna Hare Hare
Hare Rama Hare Rama , Rama Rama Hare Hare

Mharo Pranam Banke Bihari ji




Lyrics -

mharo pranam banke bihari ji
mor mukut madhyan tilak birajya
kundal alkakari ji
adhar madhur dhar bansi bajawa
rijhi rijhava braj naari ki
ya chavi dekhya mohya meera
mohan girivardhari ki

Manmohana Kanha

listen to Manmohana Kanha

Lyrics -

Manmohan kanha vinati karoon din rain
Rah take mere nain
Ab to daras dedo kunj bihari
Manva hai bechain

Neh ki dori tum sang jori
Humse to nahi jaavegi todi
Hey murali dhar krishna murari
Tanik na aave chain
Raah take mere nain ....

Mai mharo supanama

listen to Mai mharo supanama

Lyrics -

mai mharo supanama parnare deenanath
chappan kota jana padharaya dulho sri brijnath
supanama toran bandhya ri supanama gaya haath
supanama mhare paran gaya paya achal suhag
meera ro giridhar ni pyari purab janam ro haad

Matvaro baadal aayo re

listen to matvaro baadal ayo re

Lyrics -

matvaro baadal aayen re
hari ko sandeso kachu na layen re
daadur mor papeeha bole
koyel sabad sunave re
kali andhiyari bijali chamke
birahina ati darpaaye re

Man re parasi hari ke charan

Listen to man re parasi hari ke charan
Lyrics-

Man re parasi hari ke charan
Subhag sheetal kamal komal
trividh jwala haran
Jin charan dhruva atal kinhi rakh apni shran
Jin charan brahmand bhedyo nakh shikha sir dharan
Jin charan prabhu parasi linhe kari gautam karan
Jin charan fani naag nathyo gop leela karan
Jin charan gobardhan dharyo garv madhawa haran
Dasi meera lal giridhar agam taaran taran

Meera magan bhai

Listen to Meera maganbhai

Lyrics-

Meera magan bhai hari ke gun gaaye
Saanp pitara rana bheja meera hath diyo jaye
Dhanya bhoya jab dekhan lagi Shaligram gayi paye
Zahar ka pyala rana bheja amrit diya banaye
Dhanya bhoya jab piban lagi ho gayi amar athay
Suli sez rana ne bheji dijyo meera suvaya
Sanjh bhai meera sovan lagi mano phool bichhaye
Meera ke prabhu sada sahai rakhe vighan hataye
Bhajan bhav mein mast dolti giridhar bali bali jaye

Milta jaiyo

listen to milta jayo guru gyani

milta jajyo guru gyani
hari surat dekhyo lubhani

mero naam bujhi tum lijo
main hoon birah deewani
raat diwas kal nahi parat hai
jaise min bin paani

daras bina mohe kachu na suhave
talap talap mar jani
meera to charnan ki cheri
sun lije sukhdani

Mhara re giridhar gopal

listen to mhara re giridhar gopal

Lyrics -

mhara re giridhar gopal doosara koya
sadha sakal lok joya doosara na dooja
bhaya chadya bandha chadya chadya saga soya
sadhu sang baith baith lok laaj khoya
bhagat dekhya raji hoya lagat dekh roya
dudh math ghrit kadh liya dar diya choya

Main virahini baithi jagoo

listen to main virahini baithi jagoo

main virahini baithi jagoo jagat sab sove
birahini baithi rang mahal mein motiyan ki lar poye
ek birahini aisi dekhi asuvan ki mala poye
taara gin gin rain bihani sukh ki ghadi kab aave
meera ke prabhu giridhar nagar mil ke bichud na jaaven

Mhare Ghar aao pritam pyara

Lyrics-

Mhare ghar aao pritam pyara
Tan man dhan sab bhent dharungi
Bhajan karungi tumhara
Tum gunwant susahib kahiye
Mome avagun sara
Main niguni kachu gun nahi jaano
Tum so bhagtan haara
Meera kahe prabhu kabre miloge
Tum bin nain dukhara

Mai mai kaise jiyun

Listen to Mai mai kaise jiyun

Lyrics-

Mere to Giridhar Gopal
listen to mere to Giridhar Gopal

Lyrics -

Main bagiyan se phool ko chun ke

Lyrics-

Main bagiyan se phool ko chun ke
Prabhu ke charan chadhaungi
Ab hari ke gun bas gaaungi

Bhor ki bela hari pad gaa ke
Unko nitya jagaungi
Saat suron ki maal gul ke
Kanth unhe pahinaungi
bhajan suna ke apne hari ka
Sundar roop niharungi
Ab hari ke gun bas gaungi
Main bagiyan se...

Woh hi sakha hain pritam mere
Nath sakal sansaar ke
kanth mein woh hain rom rom hari
Deeno ke oh pran mein
thakur ji ko bhog laga ke
pankha unhe jhelaungi
ab hari gun bas gaaungi
Main bagiyan se...

Hari charan hai charo teerath
Charnan sheesh jhukaungi
HAri naam mein sara sukh hai
unse neh lagaungi
shradha bhakti prem se prabhu mein
Darshan unka paaungi
Ab hari ke gun bas gaaungi
Main bagiyan se ...


Bhor bhayi baji madhur muraliya by Chitra Singh


listen to bhor bhayi baji madhur muraliya(so soothing..)


Lyrics -

Bhor bhayi baji madhur muraliya
Kaise dhare jiya dheer re

Madhuban baji vrindavan baji
Tat jamuna ke teer
Baith kadamb pe bansi bajave
Thir bhayo jamuna neer re

Dard na jani peer na jani
Shyam bado bepeer
Meera ke prabhu giridhar nagar
Aakhir jaat ahir re


Ho Ramaiya bin neend na ave
listen to Ho Ramaiya bin neend na ave

Lyrics -

Ho ramaiya bin neend na ave
neend na ave biraha satave prem ki aag lagave

bin piya jyot mandir andhiyaro deepak dayan ave
piya bin meri saz aluni jaagat rain bihave
piya kab ave . ramaiya bin ....

dadur mor papeeha bole koyel sabad sunave
ghumat ghata ular hui aayi damini damak darave
nain jhar lave . ramiya bin ....

ko hai meri sakhi saheli sajani piya ko aan milave
meera ke prabhu kare miloge manmohan mohe bhave
kab batlave . ramaiya bin ....

Hari tum haro jan ki peer

listen to Hari tum haro jan ki peer

Lyrics -

Hari tum haro jan ki peer
Daupadi ki laaj rakhi
Tum badhyao cheer
Bhakt kaaran roop narhari
Dharyo aap sharir
Budhate gajraaj rakhyo
Kiyo bahar neer
Dasi meera laal Giridhar
Dukh taha jaha peer
Hare Krishna Hare Krishna Krishna Krishna Hare Hare
Hare Rama Hare Rama Rama Rama Hare Hare

Hey mero manmohana

listen to hey mero manmohana

Lyrics -

hey mero manmohana aayo nahi nahi sakhi ri
kai kahun kaaj kiya santan ka
Kai kahun gail bhulavana ..
Kahan karoon kit jaaun sajani
lage hai birha satavana ..
Meera dasi darshan pyasi
hari charna chit laav na ..

Hey govind hey gopal

listen to hey govind hey gopal

Lyrics -

Hey govind hey gopal ..

Kenu sang khelu holi
listen to kinu sang khelu holi

Lyrics -

kinu sang khelun holi
piya taj gayen hai akeli

manik moti sab hum chade
gale bich pehri seli
bhojan bhavan bhalo nahi lagyo
piya karan bhai akeli
mujhe doori kyu mili

ab tum preet avarasu so jodi
humse karoon kyu paheli
bahun din beete ajahoo na aayen
lag rahi tala beli
kinu dhilama ye heli

Kaho to joshi re
listen to Kaho to joshi re

Lyrics-

Kahu to joshi re shyam milan kab hoshi
Aao joshi mhare angane aao
ko batave thari pothi re
Paanch pakvaan joshi bhoj banayo re
Nyath demau thara goti re
Hari nazari joshi angiya siwana
Paanch pitambar doongi dhoti re
Paanch mohar joshi dikhna dikhaya re
Ratan jadaun thari pothi re
Meera ke prabhu giridhar nagar
Hari ke charan tajposhi re

Koi kahiyo re prabhu aawan ki

Listen to koi kahiyo re Prabhu aawan ki

Lyrics-

Koi kahiyo re prabhu aawan ki
Aawan ki man bhawan ki

Aap na aaven likh nahi bheje
Baan padi lalchavan ki
Ye dou naina kahyo nahi maane
Nadiya bahe jaise saawan ki

Kahan karun kachu nahi bas mero
Paankh nahi ud jaawan ki
Meera ke prabhu kabre miloge
Cheri bhayi hoon tere naaman ki

Kanha re teri jovat rah gayi baat

Listen to kanha re

Lyrics-

Kanha re tori jovat reh gayi baat
jovat jovat ek pal thadi kalindi ke ghat
Kapati preet kari manmohan ya kapati ki baat
Meera kahe prabhu giridhar naagar
de gayo brij ko chhant

Karman ki gati nyari santo

Listen to karman ki gati nyari

Lyrics-

Karuna suno shyam mori

Listen to Karuna suno shyam mori

Lyrics-
karuna suno shyam mori mai to hoya rahi cheri teri
darsan kaaran bhayi baanwari birah byatha tan gheri
tere kaaran jogan hoongi dungi nagra bich pheri
kunj ban heri heri
ang bhabhut gale mrig chhala yo tan bhasma karu ri
ajahun na milya raam avinashi bana bana bich phiroon ri
rou nit teri teri
jan meera ku giridhar miliya dukh metan sukh bheri
room room sata bhayi ur mein mit gayi phera pheri
rahun charnan tar cheri
Sanwara re Mhari preet nibhajo
listen to sanwara mhari preet nibhajo

Lyrics -

sanwara re ..
mhari preet nibhajo ji

he cho mharo gun ro saagar
avagun mha bisrajo ji

lok na sijaya manana patija
mukhada sabad sunajo ji

dasi thari janam janam ri
mhare aangan aajo ji

meera re prabhu giridhar nagar
beda paar lagajo ji

Sakhi mharo kanho lo kaleje ki kor
listen to sakhi mharo kanho lo kalege ki kor

Lyrics -

Sakhi mharo kanho lo kalege ki kor
mor mukut pitambar sohe kundal ki jhakjhor

vridavana ki kunjgalin mein
naachat nandkishor

meera ke prabhu giridhar nagar
charan kamal chit chitchor

Shyam mane chakar rakho ji

Listen to shyam mane chakar rakho ji

Lyrics-
Nandnandan
Listen to nandnandan

Lyrics -

nand nandan dithu padiya mai saanvaro
darya sab lok laaj sudbud sab bisrai

mhor chandra ka kirit mugut jab suhai
kesar ra tilak bhal lochan sukhdai

kundal jhalka kapol alka lehrai
meena taj sarovar jaaun makar milan dhayi

natvar hari kesh dharya roop jag lubhayi
giridhar prabhu ang ang meera bali jaayi
Ud jaa re kaga

Listen to ud ja re kaga

Lyrics -

ud jaa re kaga ban ka
mera shyam gaya boha din kare

tere udasu ram milega doka bhave man ka
it gokul ut mathura nagari hari hai gadhe ban ka

aap to jaayen bindsa chaye hum vasi madhuban ka
meera ke prabhu hari avinasi charan keval hari jan ka

Theto palak ughado deenanath
Listen to theto palak ugadho deenanath

Lyrics -

theto palak ugadho deena nath
main hazir nazir kad ki khadi

sajaniya dushman hoya bathya
sabne lagoon kadi

din nahi chain raat nahi nindra
sukhun khadi khadi

baan biraha ke laga hirdaya mein
bhuloon na ek ghadi

pathar ki ahilya tari
banke beech pari

kaha bojh meera mein kahiye
sau par ek ghadi

Tum bin mori Kaun khabar le

Listen to tum bin mori kaun khabar le

Lyrics-

Tum bin mori kaun khabar le
gobardhan giridhari..
Mor mukut sir chhatra viraje
kundal ki gati nyari
Vrindavan mein dhenu charave
bansi bajave giridhari
Meera ke prabhu giridhar naagar
charan kamal pe balihari

Aisi lagi lagan
Listen to aisi lagi lagan

Lyrics -

aisi lagi lagan meera hogayi magan
woh to gali gali hari gun gaane lagi
mehlon mein mein pali ban ke jogan chali
meera rani deewani kahane lagi

koi roke nahi koi toke nahi
meera govind gopal gaane lagi
baithi santo ke sang rangi mohan ke rang
meera premi pritam ko manane lagi

rana ne vish diya mano amrit piya
meera sagar mein sarita samane lagi
dukh laakhon sahe mukh se govind kahe
meera govind gopal gaane lagi

Ab radhe rani de daro

Listen to ab radhe rani

Lyrics-

Ab radhe rani
De daro bansi mori
Jo bansi mere pran basat hai
Woh bansi gayi chori
Kaise main gaun radhe kaise bajaun
Kaise bulaon gaiya bheri
Mukh se tum gao kanha
Mukh se bajao
Mukh se bulao gaiya bheri
Meera ke prabhu giridhar nagar
Bansi le kari chori
Bala main bairagan hoongi

Bala main bairagan hoongi
jin bheshya mharo sahab rijhe , sohi bhesh dharungi
sheel santosh dharun ghat bheetar,samta pakad rahungi
jako naam niranjan kahiye, tako dhyan dharungi
guru ke gyan rangu tan kapda,man mudra pairungi
prem pitsu hari gun gaun, charnan lipat rahungi
ya tan ki main karun kingari rasna naam kahungi
meera ke prabhu giridhar naagar saadha sang rahungi

Jo tum toda piya
listen to jo tum todo piya

Lyrics -

jo tum todo piya main nahi todun
toson preet tod krishna kaun sang jodun

tum bhaye truvar main bhai pankhiya
tum bhaye sarowar main teri machiya
tum bhaye girivar main bhayi chaya
tum bhaye chanda main bhayi chakora

tum bhaye moti prabhu hum bhaye dhaga
tum bhaye sona hum bhaye suhaga
meera kahe prabhu braj ke vasi
tum mere thakur main teri dasi

Jogiya tu kab re milego aayi

Listen to Jogiya tu kab re milego aayi

Lyrics-

Jogiya tu kab re milego aayi
Tere hi kaaran jogan yo hain
Ghar ghar alakan gaayi
Diwasan bhookh rain nahi nindra
Tujh bin kachhu na suhai
Meera ke prabhu giridhar naagar
Milkar tab sankuchayi

Jago Bansiwale lalana

Lyrics-

Jago bansi wale lalana jago mere pyare... lalana

Rajni biti bhor bhayo
ghar ghar khule kiwad
Gopi dahi mathat phirat hain sab
Kangana ke jhnakar

Utho laal ji bhor bhayo hai
Sur nar thade dware
Gwal bal sab karat kolahal
Jai jai sabad uchare

Maakhan roti haanth mein linhi
Gaouwan ke rakhware
Meera ke prabhu giridhar naage
Tarnayak udhaare
Daras bin dukhan laage nain
Listen to daras bin dukhan lage nain

Lyrics -

daras bin dukhan laage nain ..
jab se tum bichde prabhu mose
kabahun na aayo chain

sabad sunat meri chatiya kanpe
meethe lage bain
birah ka thah kasu kahoon sajani
beh gaye karvat nain

kal na padat pag hari mag jovat
bhayi chama si rain
meera ke prabhu kabre miloge
dukh metan sukh den

Gadh se to meerabai utri

listen to gadh se to meerabai utri


Lyrics -

Gadh se to meerabai utri karva linho saath
gaanva to chodyo meera medh ko pushkar dhava jaya
 
Ram Krishna hari jai jai ram krishna hari ...

mero man lagyo hari ke naam
hari ke naam rahasya sadha ke saath
rana ji othi bhejya dijo meerabai re haath

ghar ki malan as tari mudar chali rathod
laaj pehar saansaro
laaj tero to parivar

laje meera ji thada maaya aur baap
maaya aur baap chautho vansh rathor
meera bai kakad bheja dijo rana ji re haath

Prabhu ji main araj karoon
listen to prabhu ji main araj karoon

Lyrics -

Prabhu ji main araj karoon
mero bedo lagajo paar
in bhav mein main bahu dukh paayo
sansaar sog nivar
asta kamal ki talab lagi hai
door karo dukh bhaar
yeh sansaar sab bahyo jaat hai
lakh chaurasi dhaar
meera ke prabhu giridhar nagar
avagaman nivar

Patiya main kaise likhoon (amazing thoughts of creation by meerabai)

Listen to patiya main kaise likhoon

Lyrics-

Patiya main kaise likhoon
likhiyo na jaayi
Kalam dharat mero kar kanpat hai
Nainan hai jharnaar
Hamari bipat tum dekh chale
Udho hari ji su kahiyo jaayi
Meera ke prabhu Giridhar naagar
Darshan dijo aaye

Piyaji mhare naina aage

Listen to Piyaji mhare niana agey

Lyrics-

Piya ji mhare naina aage nahi jor
Niana aage mohe rehne de
Bhool na mohe jajyo ji
Bhavsagar mein bahi jaat hoon
Begi humari sun laio ji
Rana ji ne bheja vish ka pyala
Imrit kar dijyoji

Payo ji maine ram

Listen to Payoji maine ram ratan dhan

Lyrics-

Payo ji maine Ram Ratan dhan payo
Vastu amolak di mere satguru
Kirpa kar apnayo
JAnam janam ki punji payo
Jag mein sabhi gavayo
Kharche nahi koi chor na lute
Din din badhat rahayo
Sat ki naav khevatiya satguru
Bhavasagar tara aayo
Meera ke prabhu giridhar naagar
Harash harash jas gayo

Parasi hari ke charan

listen to parsi hari ke charan

Lyrics -

Parasi hari ke cahran man re
Subhag sheetal kamal komal trividh jwala haran
Jin charan prahlad parse indra padavi dharan
Jin charan dhruva atal kinhe rakhe apne sharan
Jin charan bhramand bhetyo nakh shikha sir dharan
Jin charan prabhu parasi leni tari gautam gharan
Jin charan fani naag nathyo gop lila karan
Jin charan gobardhan dharyo garva madhava haran
Dasi meera laal giridhar agam taaran taran

Paayo ji maine

Listen to payo ji maine

Lyrics-

Papiha re Piva ki bani na bol
(these are complete columns where from this bhajan has taken )

papiha re peev ki baani na bol
suni paanveli birahini re thari raveli paankh maror
chaanch kataun papaiya re upar kalor loona
peev mera main peev ki re tu peev kahe so koona
thara sabad suhavana re jo peev mela aaj
chaanch madhaun thari sovani re tu mere sirtaaj
peetam ku patiya likhoon re kaga tu le jaaya
jaayi preetam jasu yun kahe re thadi birhan dhaan na khaye
meera dasi byakuli re peeva peeva karat bihaya
begi milo prabhu antarjaami tum bin rahyo na jaaye
Rang de chunariya

listen to Rang de chunariya

Lyrics-

Rang de chunariya
Shyam piya mri rang de chunariya

Aisi rang de ki rang nahi chhute
Dhobiya dhove chahe ye saari umariya
Shyam piya...

Lal na rangau main to hari na rangau
Apne hi rang mein rang de chunariya
Shyam piya ...

Bina rangaye main to ghar nahi jaungi
Beet hi jaaye chahe ye saari umariya

Meera ke prabhu giridhar naagar
Hari charnan mein(shyam charnan mein,prabhu charnan mein)
Jaoon balihariya
Shyam piya ...

Woh kala ek baansuri wala


listen to woh kala ek bansuri wala


Lyrics-
Woh kala ek baansuri wala
Sudh bisara gaya mori re
Sudh bisara gaya mori
Makahan chor woh naddkishore
kar gayo dil ki chori re

Panghat pe meri baiyan marori
Main boli to meri mataki phodi
Paiya pado karoon vinati main ose
maane na phir bhi mori re
Sudh bisara gaya mori

Chip gayo aise baan chala ke
Kahan gayo ek taan suna ke
Gokul dhunda maine Mathura dhoondi
Koi nagariya na chodi re
Sudh bisara gaya mori

Chala vahi des

Listen to chala vahi des

Lyrics-

Chala vahi des Oh preetam 
 chala vahi des
kaho kusuvan saadi rangava kaho to bhagwa bhes
chala vahi des
kaho to motiyan maal bharva  kaho chhitkau kesh
chala vahi des
Meera ke prabhu giridhar nagar sun jo peeda din res 

Read more...

Tuesday, November 11, 2014




O





O mhara bala giridhari


Lyrics -





Read more...

Ads 468x60px

Social Icons

Featured Posts

About This Blog

Lorem Ipsum

Total Pageviews

  © Blogger templates Newspaper III by Ourblogtemplates.com 2008

Back to TOP